HOW SMOKING KILLS
Aakhir Kaise Lambe Samay Takh cigarette Peene se gradually Insan Ki Maut Tak Ho Jaati Hai.
chaliye is ke piche ki SCIENCE ko samajte hain...!!!
1st stage
Agar ekdm basic se suruwad karu to sari problems ki jaar hain ye tobacco plants, isi tobacco plant ko sukhake, sarake or galake kisi rolling paper main dal diya jai to ye taiyaar ho geya cigarette ka age wala part.
2nd stage
Sabse phele apne jaise hi cigeratte ko burn kiya, to tobacco ke jalne se dhuya (smoke) nikla, is cigarette smoke ko apne inhale to kar liya lekin problem to ye hain ki 4000 se v jayada harmful gasses or chemical is smoke ke andar content hain.
Bad news ya hain ki cigarette ka piche wala brown colour ka part jis ko CIGARETTE BUTT of CIGARETTE FILTER ve bolte hain ye bass nam ka hi filter hain mainly iska kam hain tobacco ka us part ko rok na, jo puri tara se na jal paya ho jisse dusre sabdo main TAR v bol diya jata hain lekin is filter ke hone ke bawajud v kuch TAR INSAAN ki body main enter kar hi jata hain. finally cigarette smoke inhale karne ki waja se 4000 se v jayada harmful gasses or chemicals INSAAN ki wind pipe main enter kar chuke hain.
ye chemicals INSAAN ki sarir ko exactly kaise nuksan pohochyenge age barke ye samajhne se phele kuch min ke liye is story ko side main rakh ke ak or ek neyi story ki madat se ye sabse phele ye samajhte hain ki agar aap cigarette smoking ki jagay fresh oxygen inhale ki hoto to kya hota
CHALIYE SURU KARTE HAIN
3rd stage
APNE ne oxygen inhale ki wo apki wind pipe main pohoch geyi use bad lungs main pohoch geyi or lungs takh pohochte pohochte age barke ye wind pipe do branches main divided hain jisko BRONCHI bola jata hain or ye bronchi inn bohot sari branches main divided hain jine BRONCHIOLES bola jata hain. Further in bronchioles ke v end main hain ye ALVEOLI.
Aab Dhyan se samjho ismein jo cylindrical pipes hain wo BLOOD STREAM hain khas bat ye hain ki ye blood stream ALVEOLI se connected/attached hain or is alveoli ke boundary itni jayada patli hota hain ki iss junction pe carbon-di-oxide blood stream se alveoli me ake sarir se bahar ja sakti hain or jo oxygen just hamne saas ke duyara inhale kithi wo alveoli se is blood stream me aa sakti hain.
Iss blood stream me jo ye red Colour jo hain ye hamare khun ke ander RED BLOOD CELLS (RBC) hain. Inn RBC ke ander ak protine hota hain HEMOGLOBIN. Ye oxygen alveoli se blood stream main ake is hemoglobin se bind ho jati hain. or further jaise jaise ye blood hamare pure sarir main circulate hoga iske sath sath ye oxygen v puri sarir main circulate hogi.
(for example:- lungs se oxygen nikal ke legs main chaligeyi, hands, brains, and every body parts)
4th stage
Back to our Cigarette Story
Ye jo 4000 se v jayada harmful gasses or chemicals appne ne inhale kiye wo v wind pipe se Bronchi main aaye, Bronchi se Bronchioles me aaye, Bronchioles se Alveoli me aaye, or yeha se sari ki sari problems suru ho jata hain, in 4000 se v jayada harmful gasses or chemicals me se most dangerous hain ye Carbonmonoxide or NICOTINE.
Usually ye oxygen jake HEMOGLOBIN se bind ho jati hain or bloos stream ke sath puri sarir main chali jati hain, lekin ye Carbonmonoxide bohot harami gas hain ye oxygen ko laath mar ke bahar kardegi or khudh jake hemoglobin ke sath bind ho jaye gi. similarly ye nicotine v ye bloodstream main aaa jayega. orr is bar appke lungs main, hands main, appke Legs main, brain main oxygen nehi balki Carbonmonoxide or NICOTINE travel karenge.
ye ak major reason hain ki continue cigarette smoking se saas lene main problem aa jati hain, lekin abhi v most importantly ye hain ki cigarette pine se is pure process main ki aisa kya tha jo is smoking ko highly addictive banati hain.
CHALO JANTE HAIN
cigarette pinese 7 to 10 sec ke aandar ye nicotine blood stream se hotahuya appke Brain main pohoch jate hain. appke brain main ye receptors hota hain jine NICOTINIC ACETYLCHOLINE RECEPTOR bola jata hain. Age barne se phele ye samjho ki ye Nicotine Heroine or Cocaine ke baad duniya ka 3rd most addective chemical hain. yaniki extremly dangerous, jaise hi ye Nicotine receptors se connect hoga to ye receptors activate ho jayega, activate hote hi ye receptors app ke brain main feel good hormons or neuro transmitter release karte hain, jaise
1. DOPAMINE
2. ADRENALINE
3. SEROTONINE
Ye hormons appka heart beat increase karke appko fresh feel karwayenge......
...Read more
(this Article is only for education purpose only)
thank you for reading this Article
PLEASE FOLLOW AND COMMENT
0 Comments